hasil kabhi jo us ki mohabbat na ho hamein pal-bhar ki bhi hayat mein rahat na ho hamein shikwe jo tum se hain wo tawaqqoa ke sath hain ummid gar na ho to shikayat na ho hamein jazbaatiyat mein tark-e-talluq to kar chuke kal apne faisle pe nadamat na ho hamein ye aur baat hai ki labon se nahin ayan ye to nahin ki tum se mohabbat na ho hamein neamat ki tarah dil pe lage hain tumhaare zakhm kafir kaho jo tis mein rahat na ho hamein kahte nahin zaban se 'athar-shakil' hum ye to nahin ki gham se aziyyat na ho hamein