tu ne jo kuchh ki kiya mere dil-e-zar ke sath aag ne bhi na kiya wo to khas-o-khar ke sath aankh utha kar bhi na dekha kabhi tu ne zalim sar patak mar gae lakhon teri diwar ke sath ye kai tar hain wo rishta-e-jaan hai yaksar ghalat us zulf ki tashbih hai zunnar ke sath raat din rahti hai jun dida-e-taswir khuli aankh jab se lagi us aaina-rukhsar ke sath dekhiyo gir na pade dijo use ai qasid dil-e-betab lipatta hai main tumar ke sath kya ajab ye hai ki wo mujh se mila rahta hai gul ko paiwastagi lazim hai ki ho khar ke sath hai saza-war agar aise ko dije dil-o-din hum bhi dekha use kal dur se 'bedar' ke sath