tere mizhgan hi na pahlu marte hain tere ham-sari rakhte hain abru bhi dam-e-shamshir se dekh ye karta hai gham ki lazzaten hum par haram ho samajh kar aashna ai nala tuk tasir se hun main wo diwana-e-nazuk-mizaj-e-gul-rukhan kijiye zanjir jis ko saya-e-zanjir se soz-e-dil kyunkar karun us shokh ke aage bayan shama ki manind jalti hai zaban taqrir se garche hon 'bedar' gharq-e-masiyat sar-ta-ba-pa pur-umid-e-maghfirat hai shabbar-o-shabbir se