tu ne kabhi bhi aansu baha kar nahin dekha namnak nigahon se mana kar nahin dekha ghairon ne kabhi hath mila kar nahin dekha apnon ne bhi sine se laga kar nahin dekha nazron mein khayalon mein samaya tha bahut wo har chand use dil se laga kar nahin dekha main jaanta tha rahti na hasti-e-samundar main ne do kinaron ko mila kar nahin dekha bichhda bhi to is naz se andaz se bichhda phir us ne kabhi laut ke aa kar nahin dekha us ne bhi kabhi pursish-e-gham ki nahin 'faisal' main ne bhi kabhi dard suna kar nahin dekha