kin khayalon mein tu dilbar pada hai ek se ek yahan par pada hai main wo darwesh hun jis ka zamane sath-e-aflak pe bistar pada hai aasman ki ye bulandi nahin kuchh aasman to mere sar par pada hai ek nadan se sanam ki gali mein ek ustad hunar-war pada hai 'mir' kahte the jise sang-e-giran mere dil par wahi patthar pada hai dhup mein khwar phirun main mera dil zulf ke sae mein khush-tar pada hai mere ashkon mein mere sher hain tar sara khitta zamin ka tar pada hai yun hi 'hawi' main ugalta nahin dur mere qadmon mein samundar pada hai