tu ne mahjur kar diya hum ko sakht ranjur kar diya hum ko apni barq-e-nigah se tum ne shajar-e-tur kar diya hum ko dil bana aashiqi mein khud-mukhtar aur majbur kar diya hum ko aisi tarif ki ki ai waiz aashiq-e-hur kar diya hum ko gham nahin mohtasib jo tod ke khum nashshe ne chur kar diya hum ko jis qadar hum se tum hue nazdik us qadar dur kar diya hum ko kabhi bar-e-gham-e-firaq utar tu ne mazdur kar diya hum ko ho gaya mai se nasha-e-irfan nar ne nur kar diya hum ko the to maqhur hone ke laeq bare maghfur kar diya hum ko