taza aazar ka arman kahan jata hai phir sata le tere qurban kahan jata hai kis pe dil aaya kahan aaya bata ai naseh tu meri tarah pareshan kahan jata hai khanqahon pe hua pir-e-mughan ka qabza aaj mai-khane ka saman kahan jata hai dil salamat nahin aane ka 'mubarak' ba-khuda are nadan kaha man kahan jata hai