tu rang-e-kaenat se upar ki baat hai ye khwab meri zat se upar ki baat hai shayad main le ke jaun use aasman talak ye gham tera hayat se upar ki baat hai ab tak samajh na pae wo chhodi kaman kyon ye jit aur mat se upar ki baat hai pani to mil hi jata jo karte wo aarzu ye dajla-o-furaat se upar ki baat hai sikha hai kachchi umr se hi pet katna haalat tajrabaat se upar ki baat hai shayad hawa kare bhi hifazat charagh ki lekin ye mumkinat se upar ki baat hai