tumhaari yaad tumhaare khayal ka mausam hamare dil mein hai utra kamal ka mausam falak ke chand ka bhi rang phika pad jae ayan jo ho kabhi tere jamal ka mausam tu ab ki ishq mein tasir badhne wali hai hua hai khatm jo ye khadd-o-khal ka mausam bichhadte waqt jo main ne sabab nahin puchha tamam umr raha phir malal ka mausam kabhi main bhul ke khud pe ghurur kar baitha shurua tab se hai mere zawal ka mausam