tu samajhta hai to khud teri nazar gahri nahin warna buniyaad-e-khizan ai be-khabar gahri nahin wasl-e-shirin hai na ju-e-shir hai tere nasib zarb ai farhad teshe ki agar gahri nahin ye bhi mumkin hai ki khud teri nawa ho narm-khez nind logon ki to ai murgh-e-sahar gahri nahin zindagi ki aaj qadren hain faqat gamlon ke phul un mein ranai hai jad un ki magar gahri nahin hum ne un aankhon mein akasr jhank kar dekha 'sharif' koi shai marmuz itni is qadar gahri nahin