jab bhi us shakhs ko dekha jae kuchh kaha jae na socha jae dida-e-kor hai qarya qarya aaina kis ko dikhaya jae daman-e-ahd-e-wafa kya tha main dil hi hathon se jo nikla jae dard-mandon se taghaful kab tak us ko ehsas dilaya jae kya wo itna hi hasin lagta hai is ko nazdik se dekha jae wo kabhi sur hai kabhi rang 'amjad' us ko kis nam se dhunda jae