tu sath hai magar kahin tera pata nahin shakhon pe dur tak koi patta hara nahin khamoshiyan bhari hain fazaon mein in dinon hum ne bhi mausamon se idhar kuchh kaha nahin tu ne zaban na kholi sukhan main ne chun liye tu ne wo padh liya jise main ne likha nahin ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si koi bhi is jahan mein tere siwa nahin chaliye bahut qarib se sab dekhna hua apne guman se hat ke kahin kuchh hua nahin chhoda hai jaane kis ne mujhe baal-o-par ke sath ye kin bulandiyon pe jahan par hawa nahin rang-e-talab hai kaun si manzil mein kya kahen aankhon mein muddaa nahin lab par sada nahin pichhe tere ai rahat-e-jaan kuchh na puchhiyo kya kya hua nahin yahan kya kuchh hua nahin