gul zakhm ko aansu ko guhar hum ne kaha hai har aib-e-mohabbat ko hunar hum ne kaha hai ranai-e-jalwa ko ba-sad husn-e-tayaqqun khud apna hi ek aks-e-nazar hum ne kaha hai kuchh baat to hai jis ke sabab sare jahan mein ai dost tujhe khuld-nazar hum ne kaha hai kahne ko rah-e-shauq mein rahi to bahut the manzil ko magar gard-e-safar hum ne kaha hai ho jin se gham-e-tirgi-e-shab ka mudawa aise hi ujalon ko sahar hum ne kaha hai haq-goi ka anjam samajh kar bhi ai 'mansha' jo kahna tha be-khauf-o-khatar hum ne kaha hai