tu urus-e-sham-e-khayal bhi to jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai ye zarur hai ki ba-in hama mera ehtimam-e-nazar bhi hai ye mera nasib hai ham-nashin sar-e-rah bhi na mile kahin wahi mera jada-e-justaju wahi un ki rahguzar bhi hai na ho muzmahil mere ham-safar tujhe shayad us ki nahin khabar inhen zulmaton hi ke dosh par abhi karwan-e-sahar bhi hai hama kashmakash meri zindagi kabhi aa ke dekh ye bebasi teri yaad wajh-e-sukun sahi wahi raaz-e-dida-e-tar bhi hai tere qurb ne jo badha diye kabhi mit sake na wo fasle wahi panw hain wahi aable wahi apna zauq-e-safar bhi hai ba-hazar danish-o-agahi meri maslahat hai abhi yahi main 'surur'-e-rahraw-e-shab sahi meri dastaras mein sahar bhi hai