tu zaban-e-dehli-o-lahaur ka parwardigar main sukut-e-gilgit-o-askar do-para-e-chanar bakriyan roz-e-azal se koh ki rasta shanas ai sunahri zin wale nuqrai rath ke sawar gulshan-e-izhaar ke do khsraw-o-sarmast phul rang se raushan zamin-e-hind az-ta kohsar yar hum do mukhtalif duniyaon ke tashrih gar tu kisi firqe ka shair main lisan-e-kirdgar ungliyon mein raushni dete zamurrad ke charagh marmarin bazu ka halqa surkh yaquti hisar raushni tarik raste se zamin tak aa gai bij ko shauq-e-numu ne kar diya hai aashkar