wajud garche mera khak-e-mukhtasar se utha mah-o-nujum ka halqa meri sharar se utha badal gaya hai meri kisht-e-jaan kharabe mein wo hashr jo ki teri chashm-e-fitnagar se utha junun-e-shauq to har pal hai goya pa ba rikab takan kahti hai ab paon ko safar se utha sharab-e-wasl ki mad-hoshi hai rag-o-pai mein asir-e-zulf ko ab husn ke asar se utha na qata ki zarurat na ehtiyaj-e-qafas yaqin hi jo parinde ka baal-o-par se utha mah-o-nujum mere bakht par the rashk-kunan ghubar ban ke main jab teri rah-guzar se utha sawal-e-nazr-e-karam kya ki teri did ke baad main be murad kahan tere sang-e-dar se utha laraz ke rah gaya qatil bhi chand saat ko jab irtiash mere jism-e-be-asar se utha tamam umr rahi us ki justuju 'khawar' jo dard ban ke kabhi dil kabhi jigar se utha