tu zid se shab-e-wasl na aaya to hua kya hum mar na gae dil ko kudhaya to hua kya taswir-e-nihaali se ham-aghosh rahe hum gar aa ke na sath apne sulaya to hua kya dekha hi kiye tere tasawwur mein qamar ko gar ta-sahar ai yar! jagaya to hua kya phulon ki rahi sej jo khali to bala se angaron pe gar hum ko litaya to hua kya munh lal hua ghuncha-sifat khun-e-jigar se hathon se tere pan na khaya to hua kya behtar ye hua nama-o-paigham se chhute gar aap na aaya na bulaya to hua kya dushman ka udane ko dhuan ye bhi bahut hain ghairon ke sikhane se jalaya to hua kya mar jaane se to hum rahe jun panja-e-marjaan hath apna jo mehndi se bandhaya to hua kya tu aap hi dekh ungliyon ki fundaqen udi jamun ke jo paudon ko lagaya to hua kya dekha hai bahut bhan-mati ka ye tamasha sarson ko hatheli pe jamaya to hua kya hum sarw-e-chaman dil ki har ek aah ko samjhe apna qad-e-mauzun na dikhaya to hua kya hum ne bhi mohabbat ko teri taq pe rakkha abru jo su-e-ghair hilaya to hua kya ye yaad rahe hum bhi nahin yaad karenge gar tu ne hamein dil se bhulaya to hua kya mina-ba-baghal aabla-e-dil se rahe hum jam-e-mai-e-agul-gun na pilaya to hua kya dam aur hi ek dosti ka yar bharenge munh jun nae quliyan na lagaya to hua kya mat kah ki tasawwur mein khat-e-sabz ke mere gar 'shah'-nasir ashk bahaya to hua kya hai dalne ko chhati pe teri mung khat-e-sabz gar zahr-e-gham-e-hijr khilaya to hua kya