ye dhup chhanw ke asrar kya batate hain jo aankh ho to usi ka pata batate hain ye kaun log hain jo sare kam ayyaron ko kabhi charagh kabhi aaina batate hain kabhi wo shakhs ek adna ghulam tha mera rafiq ab jise apna khuda batate hain bahut se logon ko main bhi ghalat samajhta hun bahut se log mujhe bhi bura batate hain wo kitne chhote hain andaza khud laga lije jo apne aap ko sab se bada batate hain