tufan hi nahin ghat mein hon jis ke bhanwar bhi milte hain usi gahre samundar se guhar bhi sahta hai jo ek habs-e-musalsal ki girani hota hai usi shahr se aandhi ka guzar bhi yun pyar hai us se ki faqat main hi nahin hun mitti se bane hain mere diwar bhi dar bhi gur dip jila kar use aagah na karta mahfuz tha har shab ki hawa se mera ghar bhi aankhon se magar raat ka patthar nahin hatta tabir to rakhta hai mera khwab-e-sahar bhi julte hain kadi dhup mein kyun apne hi aangan suraj to yahi hai jo ubharta hai udhar bhi nisbat hai hamein aise qabile se ki jis ke nezon pe sada dete hain be jism ke sar bhi kuchh soch ke wo bab-e-qafas khol raha hai kal tak thi giran jis pe meri jumbish-e-par bhi hum log faqat dasht-nawardi nahin karte aata hai hamein shahr basane ka hunar bhi