tufan ki ummid thi aandhi nahin aai wo aap to kya us ki khabar bhi nahin aai kuchh aankhon mein to ho gaya aabaad wo chehra kuchh bastiyon mein aaj bhi bijli nahin aai har roz palat aate the mehman kisi ke har roz ye kahte the ki gadi nahin aai wo aag bujhi to hamein mausam ne jhinjhoda warna yahi lagta tha ki sardi nahin aai shayad wo mohabbat ke liye thik nahin tha shayad ye anguthi use puri nahin aai