ude hain hosh mere is khabar se nahin hai wasta ab tere dar se abhi kitni sazaen aur dega na mar jaun kahin main tere dar se bahut baqi hai barson ka taqaza zara tum laut ke aao safar se bharose ke yahan hai kaun qabil bashar behtar kahan hai jaanwar se mujhe jina hai in bachchon ki khatir nikalna hai khayalon ke bhanwar se bhula pai kahan mazi ko 'sarhad' nami aankhon mein aariz tar-ba-tar se