tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai ek azm-e-mo'atabar ka sahaara nazar mein hai wo din gae ki tirgi-e-shab ka tha malal ab jalwa-e-sahar ka nazara nazar mein hai husn-e-numud-e-subh ka allah re kamal bahta hua wo nur ka dhaara nazar mein hai kuchh zauq par garan to na tha husn-e-kaenat kya kijiye ki husn tumhaara nazar mein hai dil ko lute hue to zamana hua magar ab bhi kisi nazar ka ishaara nazar mein hai uf dabdabaati aankh se girta hua wo ashk ab tak wo dubta hua tara nazar mein hai wo be-rukhi se dekhte hain dekhte to hain 'mansha' maqam kuchh to hamara nazar mein hai