kabhi to unki taraf se safaiyan itni

kabhi to un ki taraf se safaiyan itni
kabhi ada-e-jafa par duhaiyan itni

hum ajnabi the to thin hum mein khubiyan kya kya
mile to niklin hamin mein buraiyan itni

mera khayal to ye hai ki ab se khul ke milen
jab ehtiyat pe hain jag-hansaiyan itni

gila tha bahr-e-gila lekin ab to shak guzra
huzur pesh na karte safaiyan itni

firaq-e-ramz-e-mohabbat sahi pa milte raho
ki ajnabi hi na kar den judaiyan itni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close