tufan se thapedon ke sahaare nikal aae dube the buri tarah se bare nikal aae patthar pe padi chot sharare nikal aae be-dard bhi hamdard hamare nikal aae ab tak koi taskin ki surat nahin nikli din dhal gaya sham aa gai tare nikal aae un ko kisi haalat mein na bakhshega kinara auron ko dubo kar jo kinare nikal aae dekhe to koi mojaza-e-rabt-e-mohabbat un aankhon se aaj ashk hamare nikal aae jo chaho karo aaj se duniya hai tumhaari apna jinhen samjha wo tumhaare nikal aae khud mil gae us but se mujhe kar ke nasihat waiz bhi khuda hi ke sanware nikal aae ek aise buzurg aaj 'nazir' aa gae pine mai-khane se hum sharm ke mare nikal aae