tujh bewafa ki aah koi chah kya kare dil tujh ko de ke tu hi bata aah kya kare jis dil-jale ki tujh se lage shama-san lagan sar se wo guzre aur tu wallah kya kare zari fughan o nala sabhi be-asar hain aah is sang-dil ke dil mein koi rah kya kare is mah-e-kucha-gard ke tain dhundhta hua har shab gali gali na phire aah kya kare yaqub ki tarah to bahut roe dekhiye ai yusuf-e-zamana teri chah kya kare jate hain su-e-dair rah-e-kaba chhod kar haq mein hamare dekhiye allah kya kare koi dhundhta katan ke tain yaro par hai gham milta kahin nahin dil-e-agah kya kare ki dil ne dil-baran-e-jahan ki bahut talash koi dil-ruba mila hai na dil-khwah kya kare is ku-e-zulf mein ai 'jahandar' ja phansa dil kis tarah se gum na kare rah kya kare