tujh bin ghar kitna suna tha diwaron se dar lagta tha bhuli nahin wo sham-e-judai main us roz bahut roya tha tujh ko jaane ki jaldi thi aur main tujh ko rok raha tha meri aankhen bhi roti thin sham ka tara bhi rota tha galiyan sham se bujhi bujhi thin chand bhi jaldi dub gaya tha sannate mein jaise koi dur se aawazen deta tha yaadon ki sidhi se 'nasir' raat ek saya sa utra tha