us ada se bhi hun main aashna tujhe itna jis pe ghurur hai main jiyunga tere baghair bhi mujhe zindagi ka shuur hai na hawas mujhe mai-e-nab ki na talab saba-o-sahab ki teri chashm-e-naz ki khair ho mujhe be-piye hi surur hai jo samajh liya tujhe ba-wafa to phir is mein teri bhi kya khata ye khalal hai mere dimagh ka ye meri nazar ka qusur hai koi baat dil mein wo than ke na ulajh pade teri shan se wo niyaz-mand jo sar-ba-kham kai din se tere huzur hai mujhe dengi khak tasalliyan teri jaan-gudaz tajalliyan main sawal-e-shauq-e-visal hun to jalal-e-shoala-e-tur hai main nikal ke bhi tere dam se na girunga apne maqam se main 'qatil'-e-tegh-e-jafa sahi mujhe tujh se ishq zarur hai