tujh bin sarishk-e-khun ka hai aankhon se tughiyan is qadar barsa nahin ab tak kahin abr-e-bahaaran is qadar gulshan mein gar dekhen mujhe huin sumbul o nargis khajil dil hai pareshan is qadar aankhen hain hairan is qadar rakhta hai tu jis ja qadam hota hai lohu ka nishan pamal karta hai koi khun-e-shahidan is qadar dhundhe jo tu daman talak pawe na sabit tu use main chaak phirta hun kiye naseh gareban is qadar 'bedar' ko dikhla ke tu ne qatl auron ko kiya karta hai ai zalim koi zulm-e-numayan is qadar