tum ko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho ye to kahne hi ki baaten hain kahan sunte ho chah ka zikr tumhaari main kiya kis aage kaun kahta hai kaho kis ki zaban sunte ho kashish-e-ishq hi lai hai tumhein yan warna aap se tha na mujhe ye to guman sunte ho ek shab mera bhi afsana-e-jaan-soz suno qisse auron ke to ai jaan-e-jahan sunte ho wo gul-andam jo aaya to khajalat se tamam zard ho jaoge ai lala-rukhan sunte ho ek ke lakh sunaunga khabar-dar raho is taraf aai agar tab-e-rawan sunte ho aaj kya hai kaho kyun aise khafa baithe ho apni kahte ho na meri hi miyan sunte ho kaun hai kis se karun dard-e-dil apna izhaar chahta hun ki suno tum to kahan sunte ho ye wahi shokh hai aata hai jo 'bedar' ke sath jis ko ghaarat-gar-e-dil aafat-e-jaan sunte ho