tujh tegh ki nigah se mera kat gaya hai dil bhitar sine ke tukde ho kar phat gaya hai dil jab se jamal tera main dekha hai ai sanam tab se sabhi taraf se mera hat gaya hai dil andaz-e-naz qahr hai us ke na main kahun par khal-o-khat mein ja ke tere bat gaya hai dil aage ko badh sake hai na pichhe ko hat sake yan tak tere khayal mein ab dat gaya hai dil zarra se dekhte hi ye badli nazar teri man mein chhatanki ser pichhe ghat gaya hai dil hota hai shab ko ja ke ham-aghosh ghair se ye baat sun ke yar nipat chhat gaya hai dil jaisa hai sabz khat tera aur shokh chashm in donon bich aa ke mera lut gaya hai dil