rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai hain sare alfaz shagufta lahje mein virani hai ho gaya mushkil kaise chhupaun sar se le kar panw talak apni chadar phat sakti hai aisi khincha-tani hai us ko pane ki koshish mein jaan teri halkan hai kyun duniya andar se pital upar sone ka pani hai is hammam mein sab nange hain kis pe uthae ungli kaun apni apni chaukhat hai apni apni peshani hai main apne kamre mein baitha tanha tanha jalta hun chhat par chham-chham nach rahi hai kaisi barkha rani hai aate jate lamhe us ko dekh rahe hain hairat se takht banaya hai sone ka do din ki sultani hai hum ne kiya 'maqsud' khasare ka ye sauda jiwan bhar apne bare mein nahin socha baat sabhon ki mani hai