tujh zulf ki shikan hai manind-e-dam goya ya subh par hamari aai hai sham goya hain sad us ki aankhen aur qad alif ke manind abru hai nun-e-nadir gesu hai lam goya masjid mein tujh bhawon ki ai qibla-e-dil-o-jaan palken hain muqtadi aur putli imam goya rangin bahaar-e-jannat dozakh hai mujh ko us bin dozakh hai us ke hote darussalam goya tuk mah-e-nau ki jaanib ai mah-ru nazar kar kham ho teri bhawon kun karta salam goya gul-ru ke qad muqabil ho ba-adab khada hai shamshad hai chaman mein us ka ghulam goya sher-e-'siraj' az-bas aalam mein hain zabanzad diwan ki zamin hai diwan-e-am goya