tujhe ai zahid-badnam samjhana bhi aata hai kahin baaton mein teri rind-e-mai-khana bhi aata hai matanat-afrin nazren karam-gustar saf-e-mizhgan sitam dhane ko utthe ho sitam dhana bhi aata hai unhin nazuk labon ko fursat-e-atish-bayani bhi unhin nazuk labon ko phul barsana bhi aata hai kaho baada-kasho kya haal hai faizan-e-saqi ka kabhi mahfil mein daur-e-jam-o-paimana bhi aata hai nahin mahdud ehsas-e-tapish sham-e-farozan tak bala ka soz le kar dil mein parwana bhi aata hai fana ka dars deti hain rah-e-ulfat mein jo maujen unhin ke pech-o-kham se dil ko bahlana bhi aata hai unhin ashkon mein ehsas-e-alam ka sail-e-be-payan sar-e-mizhgan unhin ashkon ko tharrana bhi aata hai tumhin ne lab ko bakhshi hai mata-e-khamushi warna zaban se qissa-ha-e-shauq dohrana bhi aata hai