ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai kitni achchhi hai magar kitna bura chalti hai ek aaseb taaqub mein laga rahta hai main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai hae wo sans ki rukti hai to kya rukti hai hae wo aankh ki chalti hai to kya chalti hai pesh-khema hai kisi aur nai wahshat ka ye jo itra ke abhi baad-e-saba chalti hai tir chalte hain lagatar sawad-e-jaan mein aur talwar koi ek juda chalti hai bich dariya ke ajab jashn bapa hai yaro sath kashti ke koi mauj-e-bala chalti hai aaj kuchh aur hi manzar hai mere chaaron taraf ghair-mahsus tariqe se hawa chalti hai main ba-zahir to hun aasuda pa mere andar dhime dhime se kahin aah-o-buka chalti hai yun to bebak bana phirta hai wo yaron mein us ki aaankhon mein ajab sharm-o-haya chalti hai mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe mere honton pe yahi ek dua chalti hai