tujhe baaton mein lana chahta hun teri baaton mein aana chahta hun kisi ka aastana chahta hun kahin main sar jhukana chahta hun kisi surat bula le pas mujh ko main tere pas aana chahta hun junun dekho ki un ki hi kahani unhi ko main sunana chahta hun mujhe ai rahnuma ab chhod tanha main khud ko aazmana chahta hun thahar jae yunhi un ka tabassum thahar jae zamana chahta hun wo paiham ruth jaana chahte hain main har surat manana chahta hun