tujhe badnam karne par tuli hai gali har rah-rau ko tokti hai mera qissa magar tujh se tahi se teri baaton mein kya shaistagi hai sukut-e-dasht be-khwabi mein pahron sada-e-barbat-e-shab gunjti hai wahin tak hai khandar ki aakhiri had jahan tak chandni phaili hui hai meri takhil ke afsurda lab par wo apne hont rakh kar so gai hai