ret ki surat jaan pyasi thi aankh hamari nam na hui teri dard-gusari se bhi ruh ki uljhan kam na hui shakh se tut ke be-hurmat hain waise bhi be-hurmat the hum girte patton pe malamat kab mausam mausam na hui nag-phani sa shola hai jo aankhon mein lahraata hai raat kabhi hamdam na bani aur nind kabhi marham na hui ab yaadon ki dhup chhanw mein parchhain sa phirta hun main ne bichhad kar dekh liya hai duniya narm qadam na hui meri sahra-zad mohabbat abr-e-siyah ko dhundhti hai ek janam ki pyasi thi ek bund se taza-dam na hui