tujhe bhi husn-e-mutlaq ka abhi didar ho jae mere mahbub ke jo ru-ba-ru ek bar ho jae sukun-o-chain mil jae khuda bhi yar ho jae agar insan mein insaniyat bedar ho jae lahu mein garam-joshi rakh qalam mein zor paida kar nahin to har qadam par ek nai diwar ho jae qalandar hun mujhe shohrat ki chahat hi nahin warna main rakh dun jis ke sar par hath wo sardar ho jae suna hai dard se 'ahya' qalam mein zor milta hai so main ne bhi dua kar li mujhe bhi pyar ho jae