gardishon mein bhi hum rasta pa gae

gardishon mein bhi hum rasta pa gae
jis gali se chale the wahin aa gae

na-gahan us ne jab pursish-e-haal ki
aankh nam ho gai hont tharra gae

zikr jab bhi chhida hai wafa ka kahin
jaane kyun hum ko kuchh dost yaad aa gae

hath ulajhne lage jeb-o-dastan se kyun
ai junun kya bahaaron ke din aa gae

wo nazar uth gai jab sar-e-mai-kada
khud ba-khud jam se jam takra gae

aise nazuk to 'iqbaal' hum bhi na the
log nadan the hum se takra gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close