tujhe chhu kar na guzre jo hawa achchhi nahin lagti jo phulon ko na chume wo saba achchhi nahin lagti hamare sath rahna hai hamare sath hi rahna hamein koi bhi shai be-asra achchhi nahin lagti gunahon par pasheman hone walo sirf ye socho jo ho danista sarzad wo khata achchhi nahin lagti wo mujh se guftugu karte hue sharmae jate hain milan ki shab mein taron ki ziya achchhi nahin lagti agar aankhon mein baithe ho to dil mein bhi utar aao ho jis mein bewafai wo wafa achchhi nahin lagti shagufta phul ki surat raho gulzar-e-hasti mein banawat jis mein ho aisi haya achchhi nahin lagti jahan tak ho sake tamir ko pesh-e-nazar rakhna kisi ke haq mein 'akhtar' baddua achchhi nahin lagti