jo teri did ko tarsa bahut hai use ye hijr ki duniya bahut hai mohabbat ke samundar mein na utro yahan pani abhi gahra bahut hai kabhi aao ise aabaad karne mera viran dil tanha bahut hai hamein lal-o-jawahar se gharaz kya ki chahat ka teri gahna bahut hai badi mahngi padegi zindagani lahu insan ka sasta bahut hai abad tak tishnagi qaem rahegi azal se dil mera pyasa bahut hai tumhein bhi chhin le jae na koi tumhaare bare mein socha bahut hai samajhte hain hamein apna wo 'akhtar' hamare waste itna bahut hai