tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta to dil bhi shaki-e-tazir-e-khanjar ho nahin sakta main tark-e-baada-noshi ke liye muddat se koshan hun magar ye kaam pura qabl-e-mahshar ho nahin sakta bula kar baat puchhen ru-ba-ru apne to ro dena dalael ka asar kuchh is se behtar ho nahin sakta shikayat tujh se kya saqi ki hai takhir ka aadi sitam duniya mein lekin is se badh kar ho nahin sakta sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intiha kar dun magar mujh ko wo yusuf ab mayassar ho nahin sakta pilae ja ki main madhosh ho jaun to tu mane ki mai-noshi mein koi mujh se badh kar ho nahin sakta sukhan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta hunar-mandon ki har majlis se ye aawaz aati hai ki nadan ka koi duniya mein 'rahbar' ho nahin sakta