zakhm kya ubhre hamare dil mein un ke tir ke gul khile goya ki khwab-e-ishq ki tabir ke pasban ne gham diya aur ham-damon ne jaan li aaj qail ho gae hum gardish-e-taqdir ke khud likhi hai khun-e-dil se ishq ki har dastan zer-e-ehsan main nahin hun katib-e-taqdir ke rakh diya hai likhne wale ne kaleja chir kar hai musannif munkashif har lafz mein tahrir ke main ne jab mayus ho kar hont apne si liye phir ho kyun mushtaq itne tum meri taqrir ke phir wahi sauda wahi wahshat wahi tarz-e-junun hain nishan maujud sare ishq ki tasir ke justuju-e-did mein phirte hain sar-garda mudam har qadam par hain muqabil aap ki taswir ke be-kason masum ki mushkil-kushai kijiye chhutna chakkar se hai gar aasman-e-pir ke khidmat-e-har-mustahiq wo kar-gar tadbir hai qufl khul jate hain jis se bandish-e-taqdir ke dekhte hain dusron ki aankh ke til mein bhi aib be-khabar hain lekin apni aankh ke shahtir ke tum faraez-mansabi anjam do 'rahbar' faqat mat pado jhagde mein tum taqdir-o-tadbir ke