tujhe ishq jaur-o-jafa se hai tera kaam jud-o-sakha nahin mujhe sirf is ka malal hai tujhe pas-e-ahd-e-wafa nahin main kisi ka banda-e-zar nahin main kisi ke dar pe jhuka nahin tere ma-siwa do-jahan mein mera aur koi khuda nahin abhi hosh aaya hai ham-nashin abhi dil ko chain mila nahin zara kah do fasl-e-bahaar se abhi chaak-e-daman siya nahin chalin lakh aandhiyan zulm ki uthe lakh tufan hain jabr ke jo lahu se hum ne jala diya wo charagh ab bhi bujha nahin badi kaif-awar hain lazzaten teri yaad ki tere hijr ki jo maza hai sham-e-firaq mein shab-e-wasl mein wo maza nahin hain ye ahl-e-qafila na-samajh ye samajh mein aata hai ham-nashin use mir-e-karwan chun liya jise aap apna pata nahin wo zarur aaenge ek din wo zarur aaenge bil-yaqin tu kisi ki han pe yaqin na kar ye 'girami' dil ki sada nahin