tujhe 'kalim' koi kaise khush-kalam kahe jo din ko raat batae sahar ko sham kahe piye baghair kaho to ye tishna-kaam kahe wo raaz-e-mai jo surahi kahe na jam kahe na jaane ruth ke baitha hai dil ka chain kahan mile to us ko hamara koi salam kahe kahun jo barhaman o shaikh se haqiqat-e-ishq khuda khuda ye pukare wo ram ram kahe main gham ki ragni be-waqt bhi agar chhedun zaban-e-waqt mujhe waqt ka imam kahe