tujhe khabar hai tujhe satata hun is bina par tu bolta hai to haz uthata hun is bina par mera lahu meri aastin par laga hua hai main apna qatil qarar pata hun is bina par kabhi kabhi haal ke haqaeq mujhe sataen main apne mazi mein rahne jata hun is bina par wo apni aankhon se dekh kar mera ilm parkhen main apne bachchon ko sab batata hun is bina par use banaya hai main ne ye kam nahin kisi se charagh suraj ko main dikhata hun is bina har wo us mein rahta hai apna kirdar dhundhta hai main har kahani use sunata hun is bina par mujhe khabar hai wo sar ta-pa shairi hai 'taimur' ghazal ka hissa use banata hun is bina par