mohabbat se guzar jaana hamara

mohabbat se guzar jaana hamara
na tha aasan mar jaana hamara

wahan jab muntazir koi nahin hai
nahin banta udhar jaana hamara

zara tum waqt ki raftar dekho
kahan mumkin thahar jaana hamara

tumhaare raste mein aa gae hain
bahut mushkil hai ghar jaana hamara

kahani ka to rukh hi mod dega
kisi kirdar par jaana hamara

hamari jaan khatre mein rahegi
zaruri hai mukar jaana hamara

'azim' apni talab mein ji rahe hain
simatna hai bikhar jaana hamara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close