tujhe khabar nahin hum par dabao dale gae ki tere shahr se nikle nahin nikale gae hue hain ruswa hi lekin bahut maza aaya zaban zaban teri basti mein hum uchhaale gae abhi abhi yahan banti gai hai rahat-e-jaan abhi abhi yahan sinon se dil nikale gae abhi abhi to teri justuju ko tark kiya abhi abhi to meri ediyon ke chhaale gae abhi abhi to qayamat se aashna hue hum abhi abhi to ku-e-yar se nikale gae