zindagi bais-e-ummid bhi ruswai bhi

zindagi bais-e-ummid bhi ruswai bhi
us ki dahliz talak le gai bhi lai bhi

use to dekhte hi dagmaga jate hain qadam
aur phir us pe wo le leti hai angdai bhi

main ki tanha bhi hun rota bhi hun hansta bhi hun
yani main khud hi tamasha bhi tamashai bhi

apne aibon ko bhi ashaar mein kah deta hun
aur sitam ye hai ki hoti hai pazirai bhi

mere hamrah tere sog mein rahte hain mudam
sirf kamra hi nahin sahn bhi angnai bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close