tujhe kho kar teri hi yaad mein khud ko magan karna khayalon mein tujhe chhuna tasawwur mein sukhan karna kahan tak gham ko sine mein laga rakkhenge hum aakhir kahan tak zindagi ko markaz-e-ranj-o-mehan karna ye sach hai ishraten milti hain bad-karon ko duniya mein magar kyon un ki khatir zindagi ko bad-chalan karna sharafat ki hadon ko par karke dhundhna izzat hamein aata nahin ye dhong ye diwana-pan karna hamein baad-e-mukhalif lakh roke hum nahin khaif hamein aata hai maqsad ke liye ladna jatan karna na karna kaam daftar mein lagana boss ko maska ba-waqt-e-guftugu tar shahd mein apne sukhan karna jawani chaar din ki hai hansen khelen maze le len udasi odh kar kyon chand surat ko gahan karna 'azim' is dil ko sarshaari khayal-e-yar bakhshega hamein aata hai apni khalwaton ko anjuman karna